chor
mere tan par bhuuk ugī thī
merī āñkheñ nañgī thī
aur mere āñgan meñ har-jā
ġhurbat bhuuk aur mahrūmī ke
phuul uge the
mere kāñTe hāthoñ ne
un phūloñ ko toḌnā chāhā
aur ham-sā.e ke ghar se
jis ke ghar meñ
sone chāñdī aur paisoñ kī
dīvāreñ thiiñ
apne ne kuchh ḳhushiyāñ chun liiñ
chor chor chor chor
kuchh āvāzeñ
phir zanjīreñ
phir mere hī ghar kī mānind
badbū-dār añdherā kamra
jis ke bāhar
mujh jaise be-chehra log
mere liye pahre pe khaḌe the
mere tan par bhuk ugi thi
meri aankhen nangi thi
aur mere aangan mein har-ja
ghurbat bhuk aur mahrumi ke
phul uge the
mere kanTe hathon ne
un phulon ko toDna chaha
aur ham-sae ke ghar se
jis ke ghar mein
sone chandi aur paison ki
diwaren thin
apne ne kuchh KHushiyan chun lin
chor chor chor chor
kuchh aawazen
phir zanjiren
phir mere hi ghar ki manind
badbu-dar andhera kamra
jis ke bahar
mujh jaise be-chehra log
mere liye pahre pe khaDe the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.