chor sipahi
Interesting Fact
(منظوم لطیفہ)
pocket uḌā ke chor koī bhāgtā huā
ik roz ik police ke shikanje meñ aa gayā
ye soch kar ki ġhair uḌātā hai māl-e-tar
fauran ġharīb chor ke pīchhe nikal paḌā
āvāz de ke us se kahā ai miyāñ ruko
jaate kahāñ ho maal liye apne baap kā
sun kar sadā sipāhī kī vo chor chauñk kar
raftār aur tez kī aur dauḌtā rahā
ye soch kar ki chor mirī māntā nahīñ
ġhusse meñ bhar ke aur bhī vo surḳh ho gayā
kahne lagā ki ḳhud ko samajhtā hai kyā runner
hargiz na mere haath se tū bach ke jā.egā
tujh ko dikhā.ūñ aaj maiñ hotī hai kyā running
chal jā.egā tujhe bhī pata chiiz huuñ maiñ kyā
pīchhā kiyā jo chor kā police ne dauḌ kar
josh-e-junūñ meñ chor ke aage nikal gayā
pocket uDa ke chor koi bhagta hua
ek roz ek police ke shikanje mein aa gaya
ye soch kar ki ghair uData hai mal-e-tar
fauran gharib chor ke pichhe nikal paDa
aawaz de ke us se kaha ai miyan ruko
jate kahan ho mal liye apne bap ka
sun kar sada sipahi ki wo chor chaunk kar
raftar aur tez ki aur dauDta raha
ye soch kar ki chor meri manta nahin
ghusse mein bhar ke aur bhi wo surKH ho gaya
kahne laga ki KHud ko samajhta hai kya runner
hargiz na mere hath se tu bach ke jaega
tujh ko dikhaun aaj main hoti hai kya running
chal jaega tujhe bhi pata chiz hun main kya
pichha kiya jo chor ka police ne dauD kar
josh-e-junun mein chor ke aage nikal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.