chori ka natija
ik laḌke kī rangīñ dastī
ek laḌke ne aa ke churā.ī
idhar udhar vo DhūñD rahā thā
kisī ne chupke se ye batāyā
fulāñ ne terī dastī churā.ī
gayā vo fauran dekhā paa.ī
us ne us ko ḳhuub hī maarā
chor sabhoñ ne kah ke pukārā
sunā jo us ke baap aur maañ ne
maarā aur hue nārāz us se
ik chorī karne se bachcho
kitnī durgat hotī hai dekho
kabhī na bhuul ke chorī karnā
hoge varna tum bhī rusvā
chhoTe baḌoñ ko hogī nafrat
kuchh na rahegī tumhārī izzat
kabhī na bhuul ke chorī karnā
kaan mire kahne par dharnā
'jauhar' hai ik tumhārā bhaa.ī
chāhtā hai ye sab kī bhalā.ī
ek laDke ki rangin dasti
ek laDke ne aa ke churai
idhar udhar wo DhunD raha tha
kisi ne chupke se ye bataya
fulan ne teri dasti churai
gaya wo fauran dekha pai
us ne us ko KHub hi mara
chor sabhon ne kah ke pukara
suna jo us ke bap aur man ne
mara aur hue naraaz us se
ek chori karne se bachcho
kitni durgat hoti hai dekho
kabhi na bhul ke chori karna
hoge warna tum bhi ruswa
chhoTe baDon ko hogi nafrat
kuchh na rahegi tumhaari izzat
kabhi na bhul ke chori karna
kan mere kahne par dharna
'jauhar' hai ek tumhaara bhai
chahta hai ye sab ki bhalai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.