chuTki bhar raushni
ye honā thā ye honā thā
ki maiñ ne ik ajab
asrār ke andar
chale jaane kī ḳhvāhish kī
jahāñ ḳhasta chaTāneñ jā-ba-jā bikhrī paḌī thiiñ
shajar pathrā ga.e the
kalas mīnār gumbad bhar chuke the
jahāñ ik dhund kā be-ant
lambā ġhaar thā
jis meñ nahīñ kī bādshāhat thī
maiñ khiñchtā jā rahā thā ġhaar kī jānib
utartā jā rahā thā ik ajab asrār ke andar
jahāñ ik par thā ThanDī raushnī kā
jo hone kī anokhī dāstāñ
andhe ḳhalā kī lauh par tahrīr kartā jā rahā thā
mujhe asrār ke haale ke andar
yuuñ chale jaane kī jur.at kyuuñ huī
maiñ kis liye Thahrā rahā
hairān shashdar be-dhaḌak
vāpas chale jaane kā
maiñ ne kyuuñ na sochā us ghaḌī
aur ab ye haal hai merā
ki maiñ ik par kaTe taa.ir kī sūrat
shifā-ḳhāne kī mamtā se bharī jholī ke andar
sar-nigūñ huuñ
magar maiñ ek chuTkī raushnī to le hī aayā huuñ
ye hona tha ye hona tha
ki main ne ek ajab
asrar ke andar
chale jaane ki KHwahish ki
jahan KHasta chaTanen ja-ba-ja bikhri paDi thin
shajar pathra gae the
kalas minar gumbad bhar chuke the
jahan ek dhund ka be-ant
lamba ghaar tha
jis mein nahin ki baadshahat thi
main khinchta ja raha tha ghaar ki jaanib
utarta ja raha tha ek ajab asrar ke andar
jahan ek par tha ThanDi raushni ka
jo hone ki anokhi dastan
andhe KHala ki lauh par tahrir karta ja raha tha
mujhe asrar ke haale ke andar
yun chale jaane ki jurat kyun hui
main kis liye Thahra raha
hairan shashdar be-dhaDak
wapas chale jaane ka
main ne kyun na socha us ghaDi
aur ab ye haal hai mera
ki main ek par kaTe tair ki surat
shifa-KHane ki mamta se bhari jholi ke andar
sar-nigun hun
magar main ek chuTki raushni to le hi aaya hun
- Book : Tasteer(Issue No. 9,10 July/August. 1999) (Pg. 256)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.