chuhon ke karishme
chūhe ik din kitchen meñ pahuñche
le kar apne chille pille
ḳhālī dekh ke saarā kamra
Daal diyā har ik ne Derā
sāmne un ke jo bhī aaya
khāyā thoḌā bahut girāyā
dāñtoñ se sab kaajū kutrā
jī-bhar kar bādām churāyā
farsh pe chīnī kuchh phailā dī
ketchup kī botal luḌhkā dī
Dhamak Dham Dham Dhol bajā.e
Tiin ke kuchh Dabbe bikhrā.e
shaam huī to miyāñ pakauḌe
ghar ko jab daftar se lauTe
jā kar kitchen kā kholā taalā
dekhā to thā haal nirālā
kamre meñ das biis the chūhe
baaqī peT meñ dauḌ rahe the
Than-Than kartī degchiyoñ se
sab sar apnā phoḌ rahe the
achchhe achchhe Dish chaT kar ke
chāroñ jānib ghuum rahe the
ġhusse meñ the miyāñ pakauḌe
ho kar vo be-qābū dauḌe
chūhā koī haath na aaya
aadhā ghanTa ḳhud ko thakāyā
itne meñ ik huā dhamākā
khiḌkī se billī ne jhāñkā
kah kar myā.un haañk lagā.ī
jaan pe chūhoñ ke ban aa.ī
marne kī jab aa.ī naubat
bhaag paḌe sab hasb-e-ādat
dum ko dabā kar saare bhāge
billī pīchhe chūhe aage
sabr ke khā kar laDDū thoḌe
bed pe pahuñche miyāñ pakauḌe
chuhe ek din kitchen mein pahunche
le kar apne chille pille
KHali dekh ke sara kamra
Dal diya har ek ne Dera
samne un ke jo bhi aaya
khaya thoDa bahut giraya
danton se sab kaju kutra
ji-bhar kar baadam churaya
farsh pe chini kuchh phaila di
ketchup ki botal luDhka di
Dhamak Dham Dham Dhol bajae
Tin ke kuchh Dabbe bikhrae
sham hui to miyan pakauDe
ghar ko jab daftar se lauTe
ja kar kitchen ka khola tala
dekha to tha haal nirala
kamre mein das bis the chuhe
baqi peT mein dauD rahe the
Than-Than karti degchiyon se
sab sar apna phoD rahe the
achchhe achchhe Dish chaT kar ke
chaaron jaanib ghum rahe the
ghusse mein the miyan pakauDe
ho kar wo be-qabu dauDe
chuha koi hath na aaya
aadha ghanTa KHud ko thakaya
itne mein ek hua dhamaka
khiDki se billi ne jhanka
kah kar myaun hank lagai
jaan pe chuhon ke ban aai
marne ki jab aai naubat
bhag paDe sab hasb-e-adat
dum ko daba kar sare bhage
billi pichhe chuhe aage
sabr ke kha kar laDDu thoDe
bed pe pahunche miyan pakauDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.