code blue
Interesting Fact
( ورلڈ ڈاکٹرز ڈے کے موقع پر عارضۂ قلب کے وارڈ میں مستعد ساتھی ڈاکٹروں اور نرسوں کے لیے ۰۰۰ “چھیتی آویں وے طبیبا”)
1
raat ke pichhle pahar
shor uThā
tabl bajā
aur naqqāre pe ik choT paḌī
dil-e-betāb pe phir fauj-kashī hotī thī
ghanTiyāñ bajne lagīñ
aur shifā-ḳhāne kī rahdārī tak
ġhalġhala uThne lagā
dard-e-dil nauha-e-anfās banā
ek lamhe ke liye
gardish-e-shām-o-sahar ḳhatm huī
dhaḌkanoñ meñ jo tavāzun thā vo be-rabt huā
hosh-o-idrāk kī sarhad se pare
dil-e-āshufta kī shiryānoñ meñ
sīna-e-zīst ke tārīk nihāñ-ḳhānoñ meñ
ek dariyā-e-ravāñ ḳhuun kā
sar mārtā thā
jaise chaTTān koī sāmne rasta roke
ek Thokar kī thakan jhel na paa.e koī
jāñ-kanī apne pasīne meñ sharābor khaḌī hāñptī thī
zindagī kāñptī thī
aur maidān meñ ghamsān kā ran paḌtā thā
2
raat ke pichhle pahar
niiñd ke baaġh meñ
jab aañkh khulī
shor barpā thā ki shab-ḳhūn paḌā
chāragaro
blue code
shahr-e-jāñ tere makīnoñ ko
tabīboñ ko
ab ārām kahāñ
ḳhvāb-e-āsūda jo thā
raat kī tez-nigāhī meñ uḌā jaatā hai
aur āñkhoñ se phir ik baar thakan poñchhnī paḌ jaatī hai
hausla phir se qadam bhartā hai
aur munādī kī sadā suntā hai
ik munādī ki musalsal hai yahāñ
dauḌiye
der na ho jaa.e kahīñ
apne bīmār kī ab jald ḳhabar le liije
1
raat ke pichhle pahar
shor uTha
tabl baja
aur naqqare pe ek choT paDi
dil-e-betab pe phir fauj-kashi hoti thi
ghanTiyan bajne lagin
aur shifa-KHane ki rahdari tak
ghalghala uThne laga
dard-e-dil nauha-e-anfas bana
ek lamhe ke liye
gardish-e-sham-o-sahar KHatm hui
dhaDkanon mein jo tawazun tha wo be-rabt hua
hosh-o-idrak ki sarhad se pare
dil-e-ashufta ki shiryanon mein
sina-e-zist ke tarik nihan-KHanon mein
ek dariya-e-rawan KHun ka
sar marta tha
jaise chaTTan koi samne rasta roke
ek Thokar ki thakan jhel na pae koi
jaan-kani apne pasine mein sharabor khaDi hanpti thi
zindagi kanpti thi
aur maidan mein ghamsan ka ran paDta tha
2
raat ke pichhle pahar
nind ke bagh mein
jab aankh khuli
shor barpa tha ki shab-KHun paDa
chaaragaro
blue code
shahr-e-jaan tere makinon ko
tabibon ko
ab aaram kahan
KHwab-e-asuda jo tha
raat ki tez-nigahi mein uDa jata hai
aur aankhon se phir ek bar thakan ponchhni paD jati hai
hausla phir se qadam bharta hai
aur munadi ki sada sunta hai
ek munadi ki musalsal hai yahan
dauDiye
der na ho jae kahin
apne bimar ki ab jald KHabar le lije
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.