Coke
maqsad kī aañkh kā nuur
āḳhir hamārī niyyatoñ meñ hī chamaktā hai
munjamid hone ke Dar se
mujhe aane vaale mehmānoñ kā intizār ziyāda karnā hogā
merī halāvat merī ragoñ meñ machal rahī hai
ek miThās bharī ghulāvaT
jo halaq par lazzat kī dastak detī hai
maiñ fridge meñ paḌī
apnī karvaToñ meñ itrā rahī huuñ
jis ke nuqūsh bilorīñ botal par raqs karte haiñ
aane vāloñ kā intizār lambā ho rahā hai
merī ragoñ meñ burūdat jam rahī hai
ḳhālī hone kā shauq baḌā zālim hotā hai
magar ye kyā
ye āvāz kaisī
aaj mehmān nahīñ aa rahe
kyā merī murād aur merā sher baaqī rahegā
maqsad ki aankh ka nur
aaKHir hamari niyyaton mein hi chamakta hai
munjamid hone ke Dar se
mujhe aane wale mehmanon ka intizar ziyaada karna hoga
meri halawat meri ragon mein machal rahi hai
ek miThas bhari ghulawaT
jo halaq par lazzat ki dastak deti hai
main fridge mein paDi
apni karwaTon mein itra rahi hun
jis ke nuqush bilorin botal par raqs karte hain
aane walon ka intizar lamba ho raha hai
meri ragon mein burudat jam rahi hai
KHali hone ka shauq baDa zalim hota hai
magar ye kya
ye aawaz kaisi
aaj mehman nahin aa rahe
kya meri murad aur mera sher baqi rahega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.