concrete jangal meñ
concrete chaTTāneñ
pattharoñ kī bastī meñ
zindagī nahīñ miltī
munjamid haiñ socheñ bhī
āgahī nahīñ miltī
concrete jangal meñ concrete jhīleñ haiñ
tārkol kī nadiyāñ bah rahī haiñ har jānib
anginat siyah patthar tairte haiñ nadiyoñ meñ
Dūbte haiñ jhīloñ meñ
Duub kar ubharte haiñ jhiil ke kināroñ par
pattharoñ ke gul-būTe jin se aañch aatī hai
dhaaḌ se darindoñ kī ruuh kaañp jaatī hai
kuchh nazar nahīñ aatā kis qadar añdherā hai
fikr kā ujālā bhī qaid hai hisāroñ meñ
concrete jangal meñ aise kitne patthar haiñ
jin ke saḳht chehroñ par vaqt kī ḳharāsheñ haiñ
jin ke ruup meñ koī dilkashī nahīñ lekin
phir bhī un ke siine meñ ek dard palnā hai
in siyāh āñkhoñ meñ ek diip jaltā hai
concrete jangal mein
concrete chaTTanen
pattharon ki basti mein
zindagi nahin milti
munjamid hain sochen bhi
aagahi nahin milti
concrete jangal mein concrete jhilen hain
tarkol ki nadiyan bah rahi hain har jaanib
anginat siyah patthar tairte hain nadiyon mein
Dubte hain jhilon mein
Dub kar ubharte hain jhil ke kinaron par
pattharon ke gul-buTe jin se aanch aati hai
dhaD se darindon ki ruh kanp jati hai
kuchh nazar nahin aata kis qadar andhera hai
fikr ka ujala bhi qaid hai hisaron mein
concrete jangal mein aise kitne patthar hain
jin ke saKHt chehron par waqt ki KHarashen hain
jin ke rup mein koi dilkashi nahin lekin
phir bhi un ke sine mein ek dard palna hai
in siyah aankhon mein ek dip jalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.