dada ki chhaDi
walking ko chal paḌī hai
daadā kī ye chhaḌī hai
paḌtī hai jam ke haa.e
is se ḳhudā bachā.e
kuttoñ ko ye bhagā.e
hargiz na bhuul paa.e
jis par bhī ye paḌī hai
daadā kī ye chhaḌī hai
daadā baḌe nirāle
un ko bhī ye sañbhāle
har raah par chalā le
har ik balā ko Taale
daadā se ye baḌī hai
daadā kī ye chhaḌī hai
saudā isī kā sar meñ
har vaqt ye nazar meñ
daadā agar hoñ ghar meñ
tab ye nahīñ safar meñ
kone meñ ik khaḌī hai
daadā kī ye chhaḌī hai
khāne kī chiiz hai ye
behad lazīz hai ye
yuuñ bā-tamīz hai ye
in ko aziiz hai ye
daadā hī par paḌī hai
daadā kī ye chhaḌī hai
walking ko chal paḌī hai
daadā kī ye chhaḌī hai
walking ko chal paDi hai
dada ki ye chhaDi hai
paDti hai jam ke hae
is se KHuda bachae
kutton ko ye bhagae
hargiz na bhul pae
jis par bhi ye paDi hai
dada ki ye chhaDi hai
dada baDe nirale
un ko bhi ye sanbhaale
har rah par chala le
har ek bala ko Tale
dada se ye baDi hai
dada ki ye chhaDi hai
sauda isi ka sar mein
har waqt ye nazar mein
dada agar hon ghar mein
tab ye nahin safar mein
kone mein ek khaDi hai
dada ki ye chhaDi hai
khane ki chiz hai ye
behad laziz hai ye
yun ba-tamiz hai ye
in ko aziz hai ye
dada hi par paDi hai
dada ki ye chhaDi hai
walking ko chal paDi hai
dada ki ye chhaDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.