daera
jab mahakte haiñ tasavvur meñ tire lab ke gulāb
jaane kyoñ dīda-e-namnāk chhalak jaatā hai
chuum letā hai agar rū-e-tamanna ehsās
har taraf dard kā sho.ala sā dahak jaatā hai
apne majbūr tasavvur kā alamnāk ma.aal
dekh kar apne hī hālāt se sharmātā huuñ
dast-e-ummīd baḌhātā hai agar koī savāl
aks-e-tanhā.ī se āzurda sā ho jaatā huuñ
raat gahrī hai nigāhoñ meñ ujālā bhī nahīñ
terī jānib se kisī shauq kā naġhma na milā
soch vīrāñ hai koī dekhne vaalā bhī nahīñ
dīda-e-yās meñ raqsāñ koī saaya na milā
ye muqaddar meñ likhā hai to chalo sabr kareñ
apne hī ashkoñ se paimāna-e-imroz bhareñ
jab mahakte hain tasawwur mein tere lab ke gulab
jaane kyon dida-e-namnak chhalak jata hai
chum leta hai agar ru-e-tamanna ehsas
har taraf dard ka shoala sa dahak jata hai
apne majbur tasawwur ka alamnak maal
dekh kar apne hi haalat se sharmata hun
dast-e-ummid baDhata hai agar koi sawal
aks-e-tanhai se aazurda sa ho jata hun
raat gahri hai nigahon mein ujala bhi nahin
teri jaanib se kisi shauq ka naghma na mila
soch viran hai koi dekhne wala bhi nahin
dida-e-yas mein raqsan koi saya na mila
ye muqaddar mein likha hai to chalo sabr karen
apne hi ashkon se paimana-e-imroz bharen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.