dagh aur dhuan
us ke billorīñ paikar par
kitne daaġh nazar aate the
kitne niil ubhar aate the
jaise koī nā-shā.ista
apne ālūda hāthoñ se
billorīñ sāġhar ko chhū le
vo shāyad jhallātī bhī thī
rotī bhī chillātī bhī thī
nafrat se bal khātī bhī thī
aur inhīñ sho.aloñ ke dam se
chūlhā bhī jaltā rahtā thā
lekin ab kitne hī din se
us ke billorīñ paikar par
koī daaġh nahīñ aaya hai
jaise mai-ḳhāne meñ sāġhar
gard-e-māh-o-sāl meñ lipTā
sab kī nazar se duur paḌā hai
ab na kabhī vo jhallātī hai
ab na kabhī vo chillātī hai
nafrat ke bal khāte sho.ale
sab ke sab dam toḌ chuke haiñ
aur chūlhā ThanDā ThanDā hai
us ke billorin paikar par
kitne dagh nazar aate the
kitne nil ubhar aate the
jaise koi na-shaista
apne aaluda hathon se
billorin saghar ko chhu le
wo shayad jhallati bhi thi
roti bhi chillati bhi thi
nafrat se bal khati bhi thi
aur inhin shoalon ke dam se
chulha bhi jalta rahta tha
lekin ab kitne hi din se
us ke billorin paikar par
koi dagh nahin aaya hai
jaise mai-KHane mein saghar
gard-e-mah-o-sal mein lipTa
sab ki nazar se dur paDa hai
ab na kabhi wo jhallati hai
ab na kabhi wo chillati hai
nafrat ke bal khate shoale
sab ke sab dam toD chuke hain
aur chulha ThanDa ThanDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.