daimi sukh
mohabbat dā.imī sukh hai
ki jis ko maut kī ghaḌiyāñ
kabhī kam kar nahīñ saktīñ
ye mausam ik daf.a aa.e
to phir aa kar Thahar jaa.e
hasīñ shādāb sī kaliyāñ
nigāhoñ meñ samā jaa.eñ
to phir ye mar nahīñ saktīñ
ḳhayāloñ kī ravānī meñ
ki jaise bahte paanī meñ
kañval khil jaa.eñ ḳhvāboñ ke
to qudarat muskurātī hai
ishāra kar ke tāroñ se
chhalakte ābshāroñ se
madhur sargoshiyāñ kar ke
hameñ rasta dikhātī hai
ye rasta kis qadar hairān-kun manzil dikhātā hai
isī raste pe insāñ ḳhud ko pahlī baar paatā hai
mohabbat ko sazā kahne se pahle soch kar rakhnā
ki jo is se bichhaḌ jaa.e use manzil nahīñ miltī
bikhar jaa.eñ jo ban kar ḳhaak phir mahfil nahīñ miltī
mohabbat dā.imī sukh hai
ye sukh maiñ chāhtī huuñ terī āñkhoñ meñ nazar aa.e
ki tū is kā.enāt-e-ḳhvāb kā hamrāz ban jaa.e
mohabbat dā.imī sukh hai
mohabbat daimi sukh hai
ki jis ko maut ki ghaDiyan
kabhi kam kar nahin saktin
ye mausam ek dafa aae
to phir aa kar Thahar jae
hasin shadab si kaliyan
nigahon mein sama jaen
to phir ye mar nahin saktin
KHayalon ki rawani mein
ki jaise bahte pani mein
kanwal khil jaen KHwabon ke
to qudarat muskuraati hai
ishaara kar ke taron se
chhalakte aabshaaron se
madhur sargoshiyan kar ke
hamein rasta dikhati hai
ye rasta kis qadar hairan-kun manzil dikhata hai
isi raste pe insan KHud ko pahli bar pata hai
mohabbat ko saza kahne se pahle soch kar rakhna
ki jo is se bichhaD jae use manzil nahin milti
bikhar jaen jo ban kar KHak phir mahfil nahin milti
mohabbat daimi sukh hai
ye sukh main chahti hun teri aankhon mein nazar aae
ki tu is kaenat-e-KHwab ka hamraaz ban jae
mohabbat daimi sukh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.