Daka
kaale kaale Daaku
chhat par
dham dham karte
dauḌ rahe haiñ
kamroñ se sab box uThā kar
chhat par lā kar
be-rahmī se toḌ rahe haiñ
in baksoñ meñ
ek baḌā sā box hai merī maañ kā bhī
jis meñ merī
shīshe vaalī golī kī thailī rakkhī hai
is bakse ke TūTne par
maiñ ḳhush hotā huuñ
chhat par jā kar
bandūqoñ ke saa.e meñ
apnī sab golī chuntā huuñ
sub.h ko mere saare sāthī
merī rañg bharī golī ko
lalchā.ī nazroñ se takte rahte haiñ
barbādī kā mātam
mujh ko
golī ke rañgoñ se halkā lagtā hai
kale kale Daku
chhat par
dham dham karte
dauD rahe hain
kamron se sab box uTha kar
chhat par la kar
be-rahmi se toD rahe hain
in bakson mein
ek baDa sa box hai meri man ka bhi
jis mein meri
shishe wali goli ki thaili rakkhi hai
is bakse ke TuTne par
main KHush hota hun
chhat par ja kar
banduqon ke sae mein
apni sab goli chunta hun
subh ko mere sare sathi
meri rang bhari goli ko
lalchai nazron se takte rahte hain
barbaadi ka matam
mujh ko
goli ke rangon se halka lagta hai
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 129)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.