dao
phir ghumāo
āḳhirī daao lagāo
kyā ḳhabar is baar āḳhir mil hī jaa.e
biis billion saal kī vo gum-shuda pūñjī mujhe
maiñ
maiñ kisī aise hī lamhe ke kināre
tujh se bichhḌā
vaqt kā chakkar ghumā kar
tū ne jab taqdīr se miTTī judā kī
aur maiñ ne
apnī miTTī se judā.ī
ye judā.ī
āñsuoñ meñ gūñdh kar
rakkhī huī hai chaak par
in biis billion saal meñ
is chaak par
maiñ ne banā.ī ek jannat
aur is jannat kī raunaq ek aurat
ghar meñ ab tak muntazir hai
raat kā pichhlā pahar hai
maiñ juā-ḳhāne meñ tanhā
zindagī kā āḳhirī daao lagāne jā rahā huuñ
roknā mat
terī jānib aa rahā huuñ
phir ghumao
aaKHiri dao lagao
kya KHabar is bar aaKHir mil hi jae
bis billion sal ki wo gum-shuda punji mujhe
main
main kisi aise hi lamhe ke kinare
tujh se bichhDa
waqt ka chakkar ghuma kar
tu ne jab taqdir se miTTi juda ki
aur main ne
apni miTTi se judai
ye judai
aansuon mein gundh kar
rakkhi hui hai chaak par
in bis billion sal mein
is chaak par
main ne banai ek jannat
aur is jannat ki raunaq ek aurat
ghar mein ab tak muntazir hai
raat ka pichhla pahar hai
main jua-KHane mein tanha
zindagi ka aaKHiri dao lagane ja raha hun
rokna mat
teri jaanib aa raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.