dastan mazdur
suno gar sun sako tum dāstān-e-ḳhūñ-chakāñ merī
rulā degī magar aañsū lahū ke dāstāñ merī
na sun merī zabāñ se tazkira merī tabāhī kā
zabān-e-hāl se kah deñgī sab barbādiyāñ merī
taḌap kar bhuuk se aksar mire farzand marte haiñ
barahna-tan nazar ā.eñgī tujh ko beTiyāñ merī
phaTe kapḌoñ meñ jab malbūs biivī ko maiñ paatā huuñ
to bañdh jaatī haiñ aksar rote rote hichkiyāñ merī
mirī mehnat ke shāhid haiñ ye chhāle mere hāthoñ ke
mirī ġhurbat kā maz.har hai ye jān-e-nīm-jāñ merī
amīroñ kī na pūchho tum agar kuchh bas chale un kā
to pī jaa.eñ lahū merā chabā leñ haDDiyāñ merī
agar kuchh rahm kar sakte nahīñ haiñ merī hālat par
'alī' itnā kareñ ki na uḌā.eñ phabtiyāñ merī
suno gar sun sako tum dastan-e-KHun-chakan meri
rula degi magar aansu lahu ke dastan meri
na sun meri zaban se tazkira meri tabahi ka
zaban-e-haal se kah dengi sab barbaadiyan meri
taDap kar bhuk se aksar mere farzand marte hain
barahna-tan nazar aaengi tujh ko beTiyan meri
phaTe kapDon mein jab malbus biwi ko main pata hun
to bandh jati hain aksar rote rote hichkiyan meri
meri mehnat ke shahid hain ye chhaale mere hathon ke
meri ghurbat ka mazhar hai ye jaan-e-nim-jaan meri
amiron ki na puchho tum agar kuchh bas chale un ka
to pi jaen lahu mera chaba len haDDiyan meri
agar kuchh rahm kar sakte nahin hain meri haalat par
'ali' itna karen ki na uDaen phabtiyan meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.