data aur kirdgar
daatā hai tū jahāñ kā aur kirdgār tū hai
parvardigār tū hai parvardigār tū hai
uf kitnī ḳhūbsūrat duniyā banā.ī tū ne
tāroñ se āsmāñ kī bastī basā.ī tū ne
har chiiz ke anokhe andām tū ne rakkhe
har rang meñ nirālī qudrat dikhā.ī tū ne
daatā hai tū jahāñ kā aur kirdgār tū hai
parvardigār tū hai parvardigār tū hai
chaḌhte hue ye dariyā umDe hue ye bādal
bahtā huā ye paanī nikhre hue ye jal-thal
ye khet lahlahāte jharne ye gungunāte
ākāsh chāñd taare dariyā pahāḌ jañgal
sansār ke chaman kī yā-rab bahār tū hai
parvardigār tū hai parvardigār tū hai
barkhā basant jaaḌā ye raat din kā chakkar
phal-phūl naaj meve ik dūsre se behtar
tārīf terī yā-rab mumkin nahīñ kisī se
tāqat nahīñ bayāñ kī kholeñ zabān kyūñkar
tū hai pukār dil kī dil kī pukār tū hai
parvardigār tū hai parvardigār tū hai
data hai tu jahan ka aur kirdgar tu hai
parwardigar tu hai parwardigar tu hai
uf kitni KHubsurat duniya banai tu ne
taron se aasman ki basti basai tu ne
har chiz ke anokhe andam tu ne rakkhe
har rang mein nirali qudrat dikhai tu ne
data hai tu jahan ka aur kirdgar tu hai
parwardigar tu hai parwardigar tu hai
chaDhte hue ye dariya umDe hue ye baadal
bahta hua ye pani nikhre hue ye jal-thal
ye khet lahlahate jharne ye gungunate
aakash chand tare dariya pahaD jangal
sansar ke chaman ki ya-rab bahaar tu hai
parwardigar tu hai parwardigar tu hai
barkha basant jaDa ye raat din ka chakkar
phal-phul naj mewe ek dusre se behtar
tarif teri ya-rab mumkin nahin kisi se
taqat nahin bayan ki kholen zaban kyunkar
tu hai pukar dil ki dil ki pukar tu hai
parwardigar tu hai parwardigar tu hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.