dawat-e-nazar
maiñ hī maiñ huuñ koī hushyār kahe jaatā hai
vo hī vo haiñ koī sarshār kahe jaatā hai
hama-ūst us kī ḳhudī ke liye markaz ai dost
us kā nādān anā bhī hai matā-e-hama-ūst
hosh-afzā hai mujhe ġhalġhala-e-hushyārī
kaash samjhe use tū bhī jaras-e-bedārī
inhisār-e-mann-o-tū Thiik nahīñ sab samjheñ
vaqt hai ḳhud ko samajhne kā yahī ab samjheñ
ḳhud-shanāsī se hai ummīd ki ban jā.egā kaam
varna is hāl-e-zabūñ kā hai tabāhī anjām
na basārat na basīrat na azīmat ham meñ
kaam karne kī nahīñ naam ko himmat ham meñ
ik ḳhudī thī so kiyā us ko bhī ġhaflat ke sipurd
zindagī kī huī ye lahar bhī yuuñ dariyā burd
is taraf dekh farīsān-e-arūpā kī numūd
aaj bil-fe.al jo sābit hai vo un kā hai vajūd
rāz-e-taqdīr khulā un ke amal se un par
apne dar pai hai faqat be-amalī kā chakkar
husn-kārī kā mazāq un se huā ā.īna
na.ī duniyā kā ye manzar hai nayā ā.īna
aisī vahdat pe na ho kis liye kasrat shaidā
ek manzil se haiñ haftā-o-manāzil paidā
un kī duniyā hai na.ī apnī purānī duniyā
ban ga.ī apne liye raam kahānī duniyā
aur bātoñ meñ to kyā ḳhaak milegī jiddat
jab zabāñ meñ bhī gavārā nahīñ koī jiddat
chashm-ba-rāh nazar aate haiñ vo naqd-e-nigār
jin kī fitrat ko upaj se nahīñ bilkul sarokār
na.ī tarkīb agar un ko kahīñ mil jaa.e
barham itne hoñ ki pāmāl zamīñ hil jaa.e
phir ye haiñ aur adab-soz mudārāteñ haiñ
kyā zamāne meñ panapne kī yahī bāteñ haiñ
main hi main hun koi hushyar kahe jata hai
wo hi wo hain koi sarshaar kahe jata hai
hama-ust us ki KHudi ke liye markaz ai dost
us ka nadan ana bhi hai mata-e-hama-ust
hosh-afza hai mujhe ghalghala-e-hushyari
kash samjhe use tu bhi jaras-e-bedari
inhisar-e-mann-o-tu Thik nahin sab samjhen
waqt hai KHud ko samajhne ka yahi ab samjhen
KHud-shanasi se hai ummid ki ban jaega kaam
warna is haal-e-zabun ka hai tabahi anjam
na basarat na basirat na azimat hum mein
kaam karne ki nahin nam ko himmat hum mein
ek KHudi thi so kiya us ko bhi ghaflat ke sipurd
zindagi ki hui ye lahar bhi yun dariya burd
is taraf dekh farisan-e-arupa ki numud
aaj bil-feal jo sabit hai wo un ka hai wajud
raaz-e-taqdir khula un ke amal se un par
apne dar pai hai faqat be-amali ka chakkar
husn-kari ka mazaq un se hua aaina
nai duniya ka ye manzar hai naya aaina
aisi wahdat pe na ho kis liye kasrat shaida
ek manzil se hain hafta-o-manazil paida
un ki duniya hai nai apni purani duniya
ban gai apne liye ram kahani duniya
aur baaton mein to kya KHak milegi jiddat
jab zaban mein bhi gawara nahin koi jiddat
chashm-ba-rah nazar aate hain wo naqd-e-nigar
jin ki fitrat ko upaj se nahin bilkul sarokar
nai tarkib agar un ko kahin mil jae
barham itne hon ki pamal zamin hil jae
phir ye hain aur adab-soz mudaraaten hain
kya zamane mein panapne ki yahi baaten hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.