dahakti hui yaad
mere badan se Takrātī hai
us kā lams
mujhe pāgal sā banā detā hai
maiñ chīḳh paḌtā huuñ
gosht jalne kī bū
fazā meñ phailne lagtī hai
merī āñkhoñ meñ
rahne vaale āñsuoñ meñ
ek chhanāke ke saath
dahaktī huī yaad
sard hone lagtī hai
maiñ
ās-pās ke manzar-nāme ko dekhtā huuñ
jo badlā huā hotā hai
maiñ sard paḌne vaalī yaad ko
bhaTTī meñ rakhtā huuñ
aur dobāra
dhoñknī chillāne lagtā huuñ
mere badan se Takraati hai
us ka lams
mujhe pagal sa bana deta hai
main chiKH paDta hun
gosht jalne ki bu
faza mein phailne lagti hai
meri aankhon mein
rahne wale aansuon mein
ek chhanake ke sath
dahakti hui yaad
sard hone lagti hai
main
aas-pas ke manzar-name ko dekhta hun
jo badla hua hota hai
main sard paDne wali yaad ko
bhaTTi mein rakhta hun
aur dobara
dhonkni chillane lagta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.