dam
bahut der se jal rahā thā
ik charāġh
us band kamre meñ
sūraj kā ik TukḌā
hathelī se baT ke
battī banā lī thī
chāñd ke ko.ele se
aag lagā rakkhī thī
miTTī ke gamle meñ
raushnī ugā rakkhī thī
bujhā diyā thā maiñ ne
ḳhud apne hī haath se
phir der tak
us ke dhueñ meñ
dam ghuTtā rahā
usī shaam
dil ke band kamre meñ
bujhāyā thā maiñ ne
ek rishta
aaj tak
dhueñ se merā
dam ghuTtā hai
bahut der se jal raha tha
ek charagh
us band kamre mein
suraj ka ek TukDa
hatheli se baT ke
batti bana li thi
chand ke koele se
aag laga rakkhi thi
miTTi ke gamle mein
raushni uga rakkhi thi
bujha diya tha main ne
KHud apne hi hath se
phir der tak
us ke dhuen mein
dam ghuTta raha
usi sham
dil ke band kamre mein
bujhaya tha main ne
ek rishta
aaj tak
dhuen se mera
dam ghuTta hai
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.