dam toDti hai sham ki nili hawa
āsmāñ kyuuñ duur hotā jā rahā hai
titliyāñ aur fāḳhtā.eñ
apnī maftūha fazā par mutma.in haiñ
mujh meñ kyuuñ dam toḌtī hai shaam kī niilī havā
mujh meñ kyuuñ so.e parinde
mujh se kyuuñ ūñche daraḳhtoñ kī zamīñ chhupne lagī
āsmāñ kyuuñ duur hotā jā rahā hai
raat ke is shāmiyāne meñ koī mausam nahīñ hai
aaj maidānoñ meñ
ik saaya chalegā duur tak
aaj dariyāoñ meñ koī Dūbtā jā.egā
phir ūñche pahāḌoñ par koī āvāz niilī dhund bantī jā.egī
tum apne darvāzoñ pe likh do
aaj kī shab chāñd ko garhan lagegā
niiñd ko āñkheñ nahīñ mil pā.eñgī
aasman kyun dur hota ja raha hai
titliyan aur faKHtaen
apni maftuha faza par mutmain hain
mujh mein kyun dam toDti hai sham ki nili hawa
mujh mein kyun soe parinde
mujh se kyun unche daraKHton ki zamin chhupne lagi
aasman kyun dur hota ja raha hai
raat ke is shamiyane mein koi mausam nahin hai
aaj maidanon mein
ek saya chalega dur tak
aaj dariyaon mein koi Dubta jaega
phir unche pahaDon par koi aawaz nili dhund banti jaegi
tum apne darwazon pe likh do
aaj ki shab chand ko garhan lagega
nind ko aankhen nahin mil paengi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.