daraKHt
lafz
roz ug aate haiñ
jinheñ maiñ apne siine se khurach khurach kar
kāġhaz par jamā kar detā huuñ
taaki unheñ qat.a kiyā jā sake
jo bhī mere lafz kāTtā hai
us ke hāthoñ par
mere lahū kī buuñd sarakne lagtī hai
use mere ḳhuun se pahchān liyā jaatā hai
maiñ in lafzoñ se
kuchh aur banānā chāhtā thā
maslan ek daraḳht
jise maiñ ek aurat kī kokh meñ qaa.em kar saktā
aur mere lahū kī buuñd
us ke ruḳhsāroñ meñ numāyāñ ho saktī
jo daraḳht kaaT diye jaate haiñ
un meñ se kisī ke tane se
ḳhuun ubalne lagtā hai
mere siine par jitne baal uge
koī aurat un kī jaḌeñ sūñgh kar
merī mohabbat kī gavāhī de saktī thī
mere siine par jitne baal uge
un se maiñ ek lafz banānā chāhtā thā
taaki aurteñ apnī bhuuk ko ek naam de sakeñ
mere siine par jitne lafz uge
un se maiñ kuchh aur banānā chāhtā thā
maslan ek daraḳht
jise kaaT diyā jaa.e
to us se merā ḳhuun ubalne lage
lafz
roz ug aate hain
jinhen main apne sine se khurach khurach kar
kaghaz par jama kar deta hun
taki unhen qata kiya ja sake
jo bhi mere lafz kaTta hai
us ke hathon par
mere lahu ki bund sarakne lagti hai
use mere KHun se pahchan liya jata hai
main in lafzon se
kuchh aur banana chahta tha
maslan ek daraKHt
jise main ek aurat ki kokh mein qaem kar sakta
aur mere lahu ki bund
us ke ruKHsaron mein numayan ho sakti
jo daraKHt kaT diye jate hain
un mein se kisi ke tane se
KHun ubalne lagta hai
mere sine par jitne baal uge
koi aurat un ki jaDen sungh kar
meri mohabbat ki gawahi de sakti thi
mere sine par jitne baal uge
un se main ek lafz banana chahta tha
taki aurten apni bhuk ko ek nam de saken
mere sine par jitne lafz uge
un se main kuchh aur banana chahta tha
maslan ek daraKHt
jise kaT diya jae
to us se mera KHun ubalne lage
- Book : mamnu.u mausamon ki kitab (Pg. 109)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.