daraKHton par koi patta nahin tha
daraḳhtoñ par koī pattā nahīñ thā
guzarte rāste ḳhāmosh the
uḌte parinde raat kā aaseb lagte the
jahāñ tak bhī nazar jaatī thī
un logoñ kī qabreñ thiiñ jo paidā hī na ho paa.e
sitāre the magar vo āsmānoñ par huvaidā hī na ho paa.e
ḳhabar ye thī is miTTī meñ sabza lahlahā.e gā
yahāñ vo vaqt aa.egā ki har-sū rañg hoñge phuul hoñge raushnī hogī
magar ye kaun batlā.e
ki kaise is añdhere meñ kamī hogī
jo sadiyoñ se hamārī aañkh kī putlī kā hissa hai
sunā hai vaqt aage kī taraf jaatā hai
lekin ham hazāroñ saal se us ek nuqte par khaḌe haiñ jis ke nīche kuchh nahīñ hai jis ke uupar kuchh nahīñ hai
tum ne to chauthī jihat bhī DhūñD lī
aur ham pahlī jihat kī justujū meñ ḳhaak ho kar rah ga.e
daraKHton par koi patta nahin tha
guzarte raste KHamosh the
uDte parinde raat ka aaseb lagte the
jahan tak bhi nazar jati thi
un logon ki qabren thin jo paida hi na ho pae
sitare the magar wo aasmanon par huwaida hi na ho pae
KHabar ye thi is miTTi mein sabza lahlahae ga
yahan wo waqt aaega ki har-su rang honge phul honge raushni hogi
magar ye kaun batlae
ki kaise is andhere mein kami hogi
jo sadiyon se hamari aankh ki putli ka hissa hai
suna hai waqt aage ki taraf jata hai
lekin hum hazaron sal se us ek nuqte par khaDe hain jis ke niche kuchh nahin hai jis ke upar kuchh nahin hai
tum ne to chauthi jihat bhi DhunD li
aur hum pahli jihat ki justuju mein KHak ho kar rah gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.