dard ke saffak hathon se chura kar ek din
dard ke saffāk hāthoñ se churā kar ek din
phir usī shādāb vaadī meñ chaleñ
duur tak phaile hue
chaa.e ke bāġhāt meñ
haath le kar haath meñ
der tak chalte raheñ
aur koī rokne vaalā na ho
aur līchī ke daraḳhtoñ kī ghanerī chhāñv meñ
zāfrānī oḌhnī par leT kar
der tak bāteñ kareñ
yak-ba-yak bādal uTheñ aur bhiig jaa.eñ tan-badan
aur dhul jaa.eñ sabhī mahjūriyāñ
aur jab giile daraḳht
jugnūoñ kī aag se jalne lageñ
lauT kar aa.eñ to koī Tokne vaalā na ho
dard ke saffak hathon se chura kar ek din
phir usi shadab wadi mein chalen
dur tak phaile hue
chae ke baghat mein
hath le kar hath mein
der tak chalte rahen
aur koi rokne wala na ho
aur lichi ke daraKHton ki ghaneri chhanw mein
zafrani oDhni par leT kar
der tak baaten karen
yak-ba-yak baadal uThen aur bhig jaen tan-badan
aur dhul jaen sabhi mahjuriyan
aur jab gile daraKHt
jugnuon ki aag se jalne lagen
lauT kar aaen to koi Tokne wala na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.