dard ki mala
hamāre darmiyāñ ai dost
ye jo isti.āra phuul kā mahkā rahā
bandhan meñ ham ko bāñdh kar
khiltā rahā ik umr
merā dil
bahaltā hī nahīñ ab un kī bātoñ se
kabhī tum ḳhushbuoñ kā zikr karte ho
to merī naak meñ tezāb kī bū phail jaatī hai
tumhārī shā.irī bār-e-garāñ ab hai samā.at par
ki zarḳhezī guloñ se is meñ qaa.em hai
vo gul
ki jin ko maiñ dekhūñ kabhī
zeb-e-gulū un ke
jo aa.e haiñ masal kar phuul hī jaisā hasīñ paikar
bahut se log qātil ke
gale meñ phuul kī mālā.eñ laTkā kar
use ashkoñ kā nazrāna bhī dete haiñ
to maiñ munsif kā chehra dekh kar hairān hotā huuñ
junūnī bhiiḌ meñ jā kar
simaT kar phail jaatā huuñ
aur apne dard ko sunsān kartā huuñ
hamare darmiyan ai dost
ye jo istiara phul ka mahka raha
bandhan mein hum ko bandh kar
khilta raha ek umr
mera dil
bahalta hi nahin ab un ki baaton se
kabhi tum KHushbuon ka zikr karte ho
to meri nak mein tezab ki bu phail jati hai
tumhaari shairi bar-e-garan ab hai samaat par
ki zarKHezi gulon se is mein qaem hai
wo gul
ki jin ko main dekhun kabhi
zeb-e-gulu un ke
jo aae hain masal kar phul hi jaisa hasin paikar
bahut se log qatil ke
gale mein phul ki malaen laTka kar
use ashkon ka nazrana bhi dete hain
to main munsif ka chehra dekh kar hairan hota hun
jununi bhiD mein ja kar
simaT kar phail jata hun
aur apne dard ko sunsan karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.