dard ki pahchan
kabhī tumhārā chehra ā.īna thā
jis kī lakīroñ kā tumul naad
dukh ke pahāḌoñ sā
merī bhītrī nadī ke thapeḌoñ se
Takrā kar galtā thā
dard ris-ris kar hotā jaatā thā
diip.t dinoñ din
aaj bhī vahī chehra hai
vahī lakīreñ haiñ
vahī dukh haiñ
vahī pahāḌ haiñ dost
nahīñ hai to bas vo bhītrī nadī
jis ne dukh ke pahāḌoñ ko galā diyā thā
dard ko diip.t dī thī
tumhārā chehra ab bhī
ā.īna hai dost
merī nadī hī suukh chalī hai
kabhi tumhaara chehra aaina tha
jis ki lakiron ka tumul nad
dukh ke pahaDon sa
meri bhitri nadi ke thapeDon se
Takra kar galta tha
dard ris-ris kar hota jata tha
dipt dinon din
aaj bhi wahi chehra hai
wahi lakiren hain
wahi dukh hain
wahi pahaD hain dost
nahin hai to bas wo bhitri nadi
jis ne dukh ke pahaDon ko gala diya tha
dard ko dipt di thi
tumhaara chehra ab bhi
aaina hai dost
meri nadi hi sukh chali hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.