dard purane jag uThe
kaisī purvā aaj chalī hai dard purāne jaag uThe
vaqt kī Dhaltī chhāñv meñ baiThe apnī gāthā likhte the
hañste the aur rote the
aur piiḌ purānī bhūle the
lekin mujh ko yaar batāo
kaisī purvā aaj chalī hai dard purāne jaag uThe
maiñ dīvāna shahr-badar thā shahr se mujh ko lenā kyā
dukh kī gaThrī chhoḌ aa.ī thī us ko Dho.e phirnā kyā
us kā bojh bhī kam thā 'rizvāñ'
kaisī purvā aaj chalī hai dard purāne jaag uThe
bhīgī bhīgī āñkhoñ meñ kuchh ḳhvāb purāne jaag uThe
kuchh zaḳhm khule kuchh dard baḌhā
kuchh dard purāne jaag uThe
kaisī purvā aaj chalī hai
yaar batā
kaisi purwa aaj chali hai dard purane jag uThe
waqt ki Dhalti chhanw mein baiThe apni gatha likhte the
hanste the aur rote the
aur piD purani bhule the
lekin mujh ko yar batao
kaisi purwa aaj chali hai dard purane jag uThe
main diwana shahr-badar tha shahr se mujh ko lena kya
dukh ki gaThri chhoD aai thi us ko Dhoe phirna kya
us ka bojh bhi kam tha 'rizwan'
kaisi purwa aaj chali hai dard purane jag uThe
bhigi bhigi aankhon mein kuchh KHwab purane jag uThe
kuchh zaKHm khule kuchh dard baDha
kuchh dard purane jag uThe
kaisi purwa aaj chali hai
yar bata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.