dard uruj par aa jae to
aa rī mail kuchailī
bhūkī nañgī duniyā
maiñ ne ik din terī qīmat
ik kam besh rūpa.e rakkhī thī
apne kahe par aaj bahut sharminda huuñ
aa maiñ tere sañg
ik āḳhirī raqs karūñ
aag aur dhueñ kī āmezish se
sidra-bos daraḳht banā.eñ
aur phir us ke saa.e tale
ham garjīle gītoñ kī lai par
chhātī se chhātī Takrā.eñ
qadam se qadam milā.eñ
kyā itrātā manzar hai
charchar karte maas kī boss meñ
āvāzoñ kā kyā nāyāb ḳhazāna hai
ye ik aisī simfanī hai
jis meñ ḳhauf nahīñ hai
dard uruuj par aa jaa.e to
ḳhauf kahāñ rahtā hai
aah karāh kā aisā sañgam
lafzoñ meñ kis ne bāñdhā hai
jism-o-sadā ke aise aise dā.ere
ban jaate haiñ jin meñ
azalī nir tak abad muġhannī ḳhud bhī kho jaate haiñ
aa ham chāroñ samt meñ
aag lagā deñ
dariyā aur samundar bhak se uḌā deñ
ḳhud ko bhasm kareñ
ai rī duniyā
terī karāhat se mujh ko
kuchh ishq hī aisā hai
maiñ martā huuñ
tū bhī mar jā
aa ri mail kuchaili
bhuki nangi duniya
main ne ek din teri qimat
ek kam besh rupae rakkhi thi
apne kahe par aaj bahut sharminda hun
aa main tere sang
ek aaKHiri raqs karun
aag aur dhuen ki aamezish se
sidra-bos daraKHt banaen
aur phir us ke sae tale
hum garjile giton ki lai par
chhati se chhati Takraen
qadam se qadam milaen
kya itraata manzar hai
charchar karte mas ki boss mein
aawazon ka kya nayab KHazana hai
ye ek aisi simfani hai
jis mein KHauf nahin hai
dard uruj par aa jae to
KHauf kahan rahta hai
aah karah ka aisa sangam
lafzon mein kis ne bandha hai
jism-o-sada ke aise aise daere
ban jate hain jin mein
azali nir tak abad mughanni KHud bhi kho jate hain
aa hum chaaron samt mein
aag laga den
dariya aur samundar bhak se uDa den
KHud ko bhasm karen
ai ri duniya
teri karahat se mujh ko
kuchh ishq hi aisa hai
main marta hun
tu bhi mar ja
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 90)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
- Edition : Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.