dardmandi
dekhte dekhte
chyūñTiyāñ kitnī roñdī ga.iiñ
āḳhirī saañs tak
palaT kar jhapaTne kī ummīd meñ
sar uThātī rahīñ
dekhte dekhte
mere a.asāb meñ
bijliyāñ ghul ga.iiñ
reñgtī chyūñTiyāñ
jild ko chiir kar
ḳhuun meñ mil ga.iiñ
ab maiñ koī aur huuñ
ek ghāyal darinda ki jis ke liye
zaḳhm hī zaḳhm haiñ
(chāhe apne hoñ yā dūsroñ ke)
āḳhirī saañs tak
zaḳhm hī zaḳhm haiñ
saarī bastī hai sahmī huī
log sab falsafe
bāñdh kar bhaag uThe
mujh pe ab koī hañstā nahīñ
maiñ akelā magar
kal baḌī der tak ḳhud pe hañstā rahā
ā.īne se ye kahtā rahā
''yā to har dard ke koī ma.anī haiñ
yā phir kisī dard ke koī ma.anī nahīñ''
dekhte dekhte
chyunTiyan kitni rondi gain
aaKHiri sans tak
palaT kar jhapaTne ki ummid mein
sar uThati rahin
dekhte dekhte
mere aasab mein
bijliyan ghul gain
rengti chyunTiyan
jild ko chir kar
KHun mein mil gain
ab main koi aur hun
ek ghayal darinda ki jis ke liye
zaKHm hi zaKHm hain
(chahe apne hon ya dusron ke)
aaKHiri sans tak
zaKHm hi zaKHm hain
sari basti hai sahmi hui
log sab falsafe
bandh kar bhag uThe
mujh pe ab koi hansta nahin
main akela magar
kal baDi der tak KHud pe hansta raha
aaine se ye kahta raha
ya to har dard ke koi mani hain
ya phir kisi dard ke koi mani nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.