darguzar
na chheḌ sāz-e-kuhan mehrbāñ huā so huā
sitam jo kuchh bhī tah-e-āsmāñ huā so huā
zamīn-o-charḳh ke sab hādse purāne haiñ
abas hai un kā dobāra bayāñ huā so huā
kahāñ shurūa huī rūdād ḳhatm hogī kahāñ
tavīl hai matn-e-dāstāñ huā so huā
gumān-o-vahm pe hai qasr-e-zīst kī buniyād
havā ke dosh pe bādal ravāñ huā so huā
fanā ke baad baqā kā hai jāñ-fazā muzhda
aTal hai ādat-e-daur-e-zamāñ huā so huā
na.e makān kī tāmīr-e-nau kī fikr karo
tabāh bijliyoñ se ḳhānumāñ huā so huā
suno bahār se mansūba-e-chaman-bandī
riyāz-e-dahr ḳharāb-e-ḳhizāñ huā so huā
vo dekho qāfile daulat-sarā-e-hastī ke
ravāna sū-e-adam kārvāñ huā so huā
na chheD saz-e-kuhan mehrban hua so hua
sitam jo kuchh bhi tah-e-asman hua so hua
zamin-o-charKH ke sab hadse purane hain
abas hai un ka dobara bayan hua so hua
kahan shurua hui rudad KHatm hogi kahan
tawil hai matn-e-dastan hua so hua
guman-o-wahm pe hai qasr-e-zist ki buniyaad
hawa ke dosh pe baadal rawan hua so hua
fana ke baad baqa ka hai jaan-faza muzhda
aTal hai aadat-e-daur-e-zaman hua so hua
nae makan ki tamir-e-nau ki fikr karo
tabah bijliyon se KHanuman hua so hua
suno bahaar se mansuba-e-chaman-bandi
riyaz-e-dahr KHarab-e-KHizan hua so hua
wo dekho qafile daulat-sara-e-hasti ke
rawana su-e-adam karwan hua so hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.