daricha khula hai
sunahrā parinda
nayā ek sūraj
paroñ meñ chhupā.e
darīche meñ yuuñ
chahchahāne lagā hai
ki har roz āñkheñ
vahī naqsh phir DhūñDhtī haiñ
sunahrā parinda
hai shīshe ke andar
ki shīshe ke bāhar
koī bhī nahīñ jāntā hai
vo akkās aisā hai
manzar ghulāe milā.e
agar us kī tasvīr khīñchī ga.ī to
na jaane vo kyā kuchh dikhā.e
sunahrā parinda
jo chāroñ anāsir kī yakjā.ī se
ik anokhā sā mānūs manzar banā.e
zamānoñ ke qisse sune aur sunā.e
ki jab maiñ ne sūraj ko dekhā nahīñ thā
vahīñ thā vahīñ thā
vo zar-baft kirnoñ kā paalā
darīche meñ hai sā.atoñ kā ujālā
kabhī shaam kī āḳhirī raushnī hai
kabhī sub.h-e-raushan kā hai vo sapīda
sunahrā parinda
na aabī na ḳhākī
na hī dāstānī
magar āsmānī bhī to vo nahīñ hai
samundar ke atrāf ke saare mausam
paroñ meñ sameTe hue hai
vo pūrab ko pachchhim ko
uttar ko dakhkhin ko
apne paroñ se lapeTe hue hai
sunahrā parinda
jo dīvār par murtasim
saare gītoñ ko
nazmoñ ko pahchāntā hai
nahīñ jāntā hai
ki ye nazm
kis ne likhī hai
sunahra parinda
naya ek suraj
paron mein chhupae
dariche mein yun
chahchahane laga hai
ki har roz aankhen
wahi naqsh phir DhunDhti hain
sunahra parinda
hai shishe ke andar
ki shishe ke bahar
koi bhi nahin jaanta hai
wo akkas aisa hai
manzar ghulae milae
agar us ki taswir khinchi gai to
na jaane wo kya kuchh dikhae
sunahra parinda
jo chaaron anasir ki yakjai se
ek anokha sa manus manzar banae
zamanon ke qisse sune aur sunae
ki jab main ne suraj ko dekha nahin tha
wahin tha wahin tha
wo zar-baft kirnon ka pala
dariche mein hai saaton ka ujala
kabhi sham ki aaKHiri raushni hai
kabhi subh-e-raushan ka hai wo sapida
sunahra parinda
na aabi na KHaki
na hi dastani
magar aasmani bhi to wo nahin hai
samundar ke atraf ke sare mausam
paron mein sameTe hue hai
wo purab ko pachchhim ko
uttar ko dakhkhin ko
apne paron se lapeTe hue hai
sunahra parinda
jo diwar par murtasim
sare giton ko
nazmon ko pahchanta hai
nahin jaanta hai
ki ye nazm
kis ne likhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.