dariya-e-ganga
gañgā dariyā kī lahroñ kī ra.anā.ī kā kyā kahnā
kaisā pyārā pyārā hai is kā bal khā khā kar bahnā
koh-e-himāla kī ūñchī jhīloñ se nikal kar aatā hai
vādiyoñ aur nasheboñ meñ tezī se chal kar aatā hai
taḌtā muḌtā girtā paḌtā aage baḌhtā rahtā hai
pag pag par is kā pal pal meñ paanī chaḌhtā rahtā hai
jharnā ban ban kar girne meñ manzar ḳhuub dikhātā hai
pighlī huī chāñdnī kī chādar patthar par phailātā hai
maidānoñ meñ aa kar dhīmī dhīmī chaal se chaltā hai
lahrātā hai iThlātā hai bal khātā hai machaltā hai
us kī pyārī pyārī lahreñ dekh ke dil lahrātā hai
vo bhī paanī ke dhāre ke saath hī bahtā jaatā hai
is kī pyārī shobhā dekh ke sab nar naarī jiite haiñ
āñkhoñ hī āñkhoñ meñ is bahte amrit ko piite haiñ
chhoTe chhoTe aur bhī dariyā is meñ milte jaate haiñ
jaise bachche humak humak kar maañ kī god meñ aate haiñ
ye bhī apnī godī meñ in sab ko pyaar se letā hai
chhoḌ ke vo is ko nahīñ jaate kuchh aisā sukh detā hai
is dariyā se niklī haiñ aisī pyārī pyārī nahreñ
dil ko lubhāne vaalī haiñ jin kī bāñkī bāñkī lahreñ
kartī haiñ sairāb ye nahreñ bhārat ke maidānoñ ko
tāqat ye de detī haiñ lākhoñ kamzor kisānoñ ko
lākhoñ hī bīghe khetī hotī hai in se harī-bharī
jañgal sahrā khet chaman bante haiñ in se sabz-parī
in nahroñ kī harakat se zarḳhez zamīñ ho jaatī hai
in nahroñ kī barakat se zar-rez zamīñ ho jaatī hai
nahreñ ye lākhoñ hī insānoñ ke dil kā sahārā haiñ
nahreñ ye sab un kī āshāoñ kā bahtā dhārā haiñ
bahte rahnā is kā nit ye baat batātā rahtā hai
jo paiham kuchh kartā hai phal is kā paatā rahtā hai
bhārat kī ḳhidmat se is ne itnī azmat paa.ī hai
ḳhidmat kar ke ḳhidmat kī ḳhuub is ne raah dikhā.ī hai
ham bhī apnī koshish se sarsabz banā.eñ bhārat ko
pābandī kī zillat se āzād karā.eñ bhārat ko
gañgā dariyā kyā hai 'nayyar' ye allāh kī rahmat hai
gañgā dariyā kyā hai hamāre des ke haq meñ ne.amat hai
ganga dariya ki lahron ki ranai ka kya kahna
kaisa pyara pyara hai is ka bal kha kha kar bahna
koh-e-himala ki unchi jhilon se nikal kar aata hai
wadiyon aur nashebon mein tezi se chal kar aata hai
taDta muDta girta paDta aage baDhta rahta hai
pag pag par is ka pal pal mein pani chaDhta rahta hai
jharna ban ban kar girne mein manzar KHub dikhata hai
pighli hui chandni ki chadar patthar par phailata hai
maidanon mein aa kar dhimi dhimi chaal se chalta hai
lahraata hai iThlata hai bal khata hai machalta hai
us ki pyari pyari lahren dekh ke dil lahraata hai
wo bhi pani ke dhaare ke sath hi bahta jata hai
is ki pyari shobha dekh ke sab nar nari jite hain
aankhon hi aankhon mein is bahte amrit ko pite hain
chhoTe chhoTe aur bhi dariya is mein milte jate hain
jaise bachche humak humak kar man ki god mein aate hain
ye bhi apni godi mein in sab ko pyar se leta hai
chhoD ke wo is ko nahin jate kuchh aisa sukh deta hai
is dariya se nikli hain aisi pyari pyari nahren
dil ko lubhane wali hain jin ki banki banki lahren
karti hain sairab ye nahren bhaarat ke maidanon ko
taqat ye de deti hain lakhon kamzor kisanon ko
lakhon hi bighe kheti hoti hai in se hari-bhari
jangal sahra khet chaman bante hain in se sabz-pari
in nahron ki harakat se zarKHez zamin ho jati hai
in nahron ki barakat se zar-rez zamin ho jati hai
nahren ye lakhon hi insanon ke dil ka sahaara hain
nahren ye sab un ki aashaon ka bahta dhaara hain
bahte rahna is ka nit ye baat batata rahta hai
jo paiham kuchh karta hai phal is ka pata rahta hai
bhaarat ki KHidmat se is ne itni azmat pai hai
KHidmat kar ke KHidmat ki KHub is ne rah dikhai hai
hum bhi apni koshish se sarsabz banaen bhaarat ko
pabandi ki zillat se aazad karaen bhaarat ko
ganga dariya kya hai 'nayyar' ye allah ki rahmat hai
ganga dariya kya hai hamare des ke haq mein neamat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.