darKHwast
nafrat kī mash.aloñ ko fauran bujhā ke rakh do
in mash.aloñ kī zad meñ aa.e agar patange
be-sāḳhta sarāpā mazlūm aag ho kar
bāzār se uḌeñge khaliyān meñ gireñge
barsoñ isī tarah kā phir silsila rahegā
is silsile meñ kitnī fasleñ tabāh hoñgī
is silsile meñ kitnī nasleñ tabāh hoñgī
is silsile meñ jitnī fasleñ tabāh hoñgī
is silsile meñ jitnī nasleñ tabāh hoñgī
sab be-qusūr hoñgī sab be-gunāh hoñgī
nafrat ki mashalon ko fauran bujha ke rakh do
in mashalon ki zad mein aae agar patange
be-saKHta sarapa mazlum aag ho kar
bazar se uDenge khaliyan mein girenge
barson isi tarah ka phir silsila rahega
is silsile mein kitni faslen tabah hongi
is silsile mein kitni naslen tabah hongi
is silsile mein jitni faslen tabah hongi
is silsile mein jitni naslen tabah hongi
sab be-qusur hongi sab be-gunah hongi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.