darwaza
dekho to rishta ban jaatā hai
kamre se
dīvāroñ se
chhat se
khiḌkiyoñ se
merā bhī thā un sab se hī
lekin
jaane kyoñ aaj mujhe us darvāze kī yaad meñ bechainī sī hotī hai
jis ne jaate hue sab se āḳhir meñ
aur aate hue sab se pahle
mere qadmoñ ko sunā hai
jis se merā andar bāhar hotā rahnā chaltā rahtā thā
us din tak
jis din tak
vo ghar ghar thā
us darvāze ne mere bachpan ko jaate hue
aur javānī ko aate hue dekhā hai
us shahr se to naate ke lag-bhag saare Dor hī Tuut chuke haiñ
aaj vo ghar bhī bik gayā hai
dekho to rishta ban jata hai
kamre se
diwaron se
chhat se
khiDkiyon se
mera bhi tha un sab se hi
lekin
jaane kyon aaj mujhe us darwaze ki yaad mein bechaini si hoti hai
jis ne jate hue sab se aaKHir mein
aur aate hue sab se pahle
mere qadmon ko suna hai
jis se mera andar bahar hota rahna chalta rahta tha
us din tak
jis din tak
wo ghar ghar tha
us darwaze ne mere bachpan ko jate hue
aur jawani ko aate hue dekha hai
us shahr se to nate ke lag-bhag sare Dor hi Tut chuke hain
aaj wo ghar bhi bik gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.