darwaze ke bahar
vaqt hai bāhar khaḌā
ye kise mālūm hai darvāza kholeñ
kyā hamārā muntazir ho
kaun-sā dukh kaun-sī rāhat
nisāboñ meñ likhī sachchā.ī
yā āñkhoñ se girtā ashk
tārīkī khaḌī ho
yā kisī Tahnī kā tanhā phuul
āñkheñ sard gahrī
jin meñ kuchh khultā na ho ki kyā hai poshīda
numāyāñ kyā hai
kis kā aks hai
kaisī shabīh hai
ye samundar hai sarāb
phuul hai ki dhuul hai
ma.adūmiyat yā zindagī
kuchh bhī na khultā ho
faqat āñkheñ hoñ gahrī muntazir aur ik ḳhalā
aahaT kisī qadmoñ kī
aur koī nahīñ ho rāh-rau
yā phir lahū ho
aañkh se bahtā lahū
bachchoñ kā
dil kā
sā.ebānoñ kā lahū
zaḳhmī ridāoñ
naujavānoñ
raat din kā
yā kisī kī ehtajājī chīḳh kā
chup kā
kisī ke ḳhvāb kā
yā phuul kā
muskurāhaT ho kisī lab ko tarastī
yā ki phir taaza havā ho
yā sunahrī dhuup
mahbūba ho
koī dost
yā phir maut
ham meñ kise mālūm hai darvāza kholeñ
kyā hamārā muntazir ho
waqt hai bahar khaDa
ye kise malum hai darwaza kholen
kya hamara muntazir ho
kaun-sa dukh kaun-si rahat
nisabon mein likhi sachchai
ya aankhon se girta ashk
tariki khaDi ho
ya kisi Tahni ka tanha phul
aankhen sard gahri
jin mein kuchh khulta na ho ki kya hai poshida
numayan kya hai
kis ka aks hai
kaisi shabih hai
ye samundar hai sarab
phul hai ki dhul hai
madumiyat ya zindagi
kuchh bhi na khulta ho
faqat aankhen hon gahri muntazir aur ek KHala
aahaT kisi qadmon ki
aur koi nahin ho rah-rau
ya phir lahu ho
aankh se bahta lahu
bachchon ka
dil ka
saebanon ka lahu
zaKHmi ridaon
naujawanon
raat din ka
ya kisi ki ehtajaji chiKH ka
chup ka
kisi ke KHwab ka
ya phul ka
muskurahaT ho kisi lab ko tarasti
ya ki phir taza hawa ho
ya sunahri dhup
mahbuba ho
koi dost
ya phir maut
hum mein kise malum hai darwaza kholen
kya hamara muntazir ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.