dasht-e-adam ka sannaTa
kyā kyā manzar dekh rahī haiñ āñkheñ merī
kab se un ujle shīshoñ par
saa.e larzāñ haiñ
kuchh dhundlā.e manzar armānoñ kī jādū-nagrī se
siine kī tārīkī se
jugnū kī mānind jhalakte rahte haiñ rañg badalte rahte haiñ
band agar ho jaa.eñ ye āñkheñ
saare manzar
saare pas-manzar
be-alfāz bayāñ kī sūrat
ik kore kāġhaz meñ Dhal kar
(yaksar ruup badal kar)
Thahrī Thahrī āñkhoñ kī tanhā.ī meñ kho jā.eñge
dasht-e-adam kā sannāTā ho jā.eñge
kya kya manzar dekh rahi hain aankhen meri
kab se un ujle shishon par
sae larzan hain
kuchh dhundlae manzar armanon ki jadu-nagri se
sine ki tariki se
jugnu ki manind jhalakte rahte hain rang badalte rahte hain
band agar ho jaen ye aankhen
sare manzar
sare pas-manzar
be-alfaz bayan ki surat
ek kore kaghaz mein Dhal kar
(yaksar rup badal kar)
Thahri Thahri aankhon ki tanhai mein kho jaenge
dasht-e-adam ka sannaTa ho jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.