dastaras
hamārī dastaras meñ kyā hai kyā nahīñ
zamīñ nahīñ
ḳhalā nahīñ
ki āsmāñ nahīñ
hameñ to sirf sochnā ye chāhiye
ki muTThiyāñ khulī raheñ
hatheliyoñ se uñgliyāñ juḌī raheñ
zamīñ se paañv
paañv se qadam
qadam se rāstoñ kā silsila banā rahe
hameñ to sirf dekhnā ye chāhiye
ki jis ko log radd kareñ
aur apnī diid kī ġhalīz chādaroñ se Dhāñp kar shikāyatoñ se bāñdh deñ
hamāre jism māvarā hoñ us ġhilāf se
hamārī dastaras meñ kyā hai kyā nahīñ
bas yahī to shart hai
hamāre jism an-ginat raheñ
magar hamāre sar juḌe raheñ
ragoñ meñ pyaar kā lahū ravāñ rahe badan badan javāñ rahe
zamīñ rahe ḳhalā rahe na āsmāñ rahe
magar hameñ yahī gumāñ rahe
hamārī dastaras meñ kyā nahīñ
hamari dastaras mein kya hai kya nahin
zamin nahin
KHala nahin
ki aasman nahin
hamein to sirf sochna ye chahiye
ki muTThiyan khuli rahen
hatheliyon se ungliyan juDi rahen
zamin se panw
panw se qadam
qadam se raston ka silsila bana rahe
hamein to sirf dekhna ye chahiye
ki jis ko log radd karen
aur apni did ki ghaliz chadaron se Dhanp kar shikayaton se bandh den
hamare jism mawara hon us ghilaf se
hamari dastaras mein kya hai kya nahin
bas yahi to shart hai
hamare jism an-ginat rahen
magar hamare sar juDe rahen
ragon mein pyar ka lahu rawan rahe badan badan jawan rahe
zamin rahe KHala rahe na aasman rahe
magar hamein yahi guman rahe
hamari dastaras mein kya nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.