dawam-e-wasl ka KHwab
pakkī gandum ke ḳhoshoñ meñ
umaDte din ke Deroñ meñ
añdhere kī ghanī shāḳhoñ
parindoñ ke baseroñ meñ
thake bādal se girte naam ke andar
utartī shaam ke andar
davām-e-vasl kā ik ḳhvāb hai
jo saañs letā hai
mahaktī sar-zamīnoñ meñ
makānoñ meñ makīnoñ meñ
tire mere ilāqoñ meñ
hamāre ahd-nāmoñ meñ
larazte bādbānoñ meñ
kahīñ duurī ke gītoñ meñ
kahīñ qurbat kī tānoñ meñ
azal se tā-abad phailī huī
is chādar-e-aflāk ke andar
ridā-e-ḳhāk ke andar
hamārī niiñd kī galiyoñ meñ
apnī dhun bajātā hai
makān-e-āfiyat ke band darvāze girātā hai
pakki gandum ke KHoshon mein
umaDte din ke Deron mein
andhere ki ghani shaKHon
parindon ke baseron mein
thake baadal se girte nam ke andar
utarti sham ke andar
dawam-e-wasl ka ek KHwab hai
jo sans leta hai
mahakti sar-zaminon mein
makanon mein makinon mein
tere mere ilaqon mein
hamare ahd-namon mein
larazte baadbanon mein
kahin duri ke giton mein
kahin qurbat ki tanon mein
azal se ta-abad phaili hui
is chadar-e-aflak ke andar
rida-e-KHak ke andar
hamari nind ki galiyon mein
apni dhun bajata hai
makan-e-afiyat ke band darwaze giraata hai
- Book : Aakhrii Din Se pehle (Pg. 65)
- Author : Abrar Ahmed
- Publication : Tahir Aslam Gora, Gora Publishers (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.