canwas koi sada nahin
TūTtī reza reza simaTtī huī sā.atoñ kī
koī sat.h-e-sāda nahīñ
ek vaqfa kā dāman bhī dhabboñ se ḳhālī nahīñ
ye nazar kā nahīñ
asl meñ ik tazād-e-nazar kā karishma hai
varna ye aurāq-e-mahtāb bhī
jitne lagte haiñ ujle nahīñ
muñh khulī aur laḌkī huī raat se
lamha lamha bhabaktī huī raushnā.ī
bahut tez hai
raat ke ko.ele
jab shurūāt taqrīb ke dhīme dhīme sulagte alaav meñ
jalne lageñ us ghaḌī
aur jab beach ke marhale meñ dahakne lageñ us ghaḌī
aur jab ḳhatm taqrīb kī raakh meñ aañkh milne lageñ
is ghaḌī bhī safedī kā ḳhālis tasavvur nahīñ
apnī marzī kī be-dāġh tasvīr ke vāste
canvas koī saada nahīñ
TuTti reza reza simaTti hui saaton ki
koi sath-e-sada nahin
ek waqfa ka daman bhi dhabbon se KHali nahin
ye nazar ka nahin
asl mein ek tazad-e-nazar ka karishma hai
warna ye auraq-e-mahtab bhi
jitne lagte hain ujle nahin
munh khuli aur laDki hui raat se
lamha lamha bhabakti hui raushnai
bahut tez hai
raat ke koele
jab shuruat taqrib ke dhime dhime sulagte alaw mein
jalne lagen us ghaDi
aur jab beach ke marhale mein dahakne lagen us ghaDi
aur jab KHatm taqrib ki rakh mein aankh milne lagen
is ghaDi bhi safedi ka KHalis tasawwur nahin
apni marzi ki be-dagh taswir ke waste
canwas koi sada nahin
- Book : Roshan waraq waraq (Pg. 120)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.