december
december to bahānā hai
december dhund meñ leTā
havā ke dosh par
gahre samundar kī athāh ko chhū ke aatā hai
to man ke būḌhe bargad se
mohabbat ke parinde phaḌ.phaḌāte
girte uThte aur phir uḌne kī koshish meñ
juuñ hī parvāz karte haiñ
to mausam yaad kī phailī hathelī par chaTaḳh kar Tuut jaatā hai
udāsī yaad kī jhankār pahne jaag uThtī hai
vahī jhankār jo aksar
sub.h-e-kāzib talak mujh ko sadā bedār rakhtī thī
maiñ aksar sochtā huuñ
december lauT jaa.e to bahār aa.e
bahār aa.e to ġham phūTe
shagūfe koñpleñ jāgeñ
isī daurān sochoñ ke darūñ-ḳhāna se aksar
huuk uThtī hai
jo kahtī hai
december ko zarā āvāz to denā
judā.ī kā zamāna hai
hameñ to dard ke dahke alaav par hī ab kohra jamānā hai
december to bahāna hai
december to bahana hai
december dhund mein leTa
hawa ke dosh par
gahre samundar ki athah ko chhu ke aata hai
to man ke buDhe bargad se
mohabbat ke parinde phaDphaDate
girte uThte aur phir uDne ki koshish mein
jun hi parwaz karte hain
to mausam yaad ki phaili hatheli par chaTaKH kar Tut jata hai
udasi yaad ki jhankar pahne jag uThti hai
wahi jhankar jo aksar
subh-e-kazib talak mujh ko sada bedar rakhti thi
main aksar sochta hun
december lauT jae to bahaar aae
bahaar aae to gham phuTe
shagufe konplen jagen
isi dauran sochon ke darun-KHana se aksar
huk uThti hai
jo kahti hai
december ko zara aawaz to dena
judai ka zamana hai
hamein to dard ke dahke alaw par hi ab kohra jamana hai
december to bahana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.