december ki dhup
agar mire lafz
terī āñkhoñ se ashk ban kar gire nahīñ haiñ
agar mire lafz
tere hoñToñ pe giit ban kar khile nahīñ haiñ
agar mire lafz
nā-rasā haiñ
ki merī palkoñ kī Tahniyoñ se
mire lahū kā koī bhī pata
tirī niilī sī niiñd kī jhiil ke badan par
girā nahīñ hai
vo dā.era hī banā nahīñ hai
maiñ jis meñ juḌte udhaḌte rishtoñ ko
DhūñD letā
agar mire lafz
tere siine meñ sarsarāte
tujhe mire paas khīñch laate
to maiñ samajhtā
ki merī be-zor muTThiyoñ meñ
zamīn kī gardish taḌap rahī hai
yūñhī sahī phir
chalo mire lafz nā-rasā haiñ
magar zamāne badalte rahte haiñ
aur ye din-rāt Dhalte rahte haiñ
mire dil meñ ummīd kī ek kiran zinda hai
jo kisī din
terī hinā-rañg uñgliyoñ se
mirī tamanna kā garm dhāgā lapeT degī
isī december meñ
terī jholī se sard-mehrī kā
sab switer sameT legī
agar mere lafz
teri aankhon se ashk ban kar gire nahin hain
agar mere lafz
tere honTon pe git ban kar khile nahin hain
agar mere lafz
na-rasa hain
ki meri palkon ki Tahniyon se
mere lahu ka koi bhi pata
teri nili si nind ki jhil ke badan par
gira nahin hai
wo daera hi bana nahin hai
main jis mein juDte udhaDte rishton ko
DhunD leta
agar mere lafz
tere sine mein sarsaraate
tujhe mere pas khinch late
to main samajhta
ki meri be-zor muTThiyon mein
zamin ki gardish taDap rahi hai
yunhi sahi phir
chalo mere lafz na-rasa hain
magar zamane badalte rahte hain
aur ye din-raat Dhalte rahte hain
mere dil mein ummid ki ek kiran zinda hai
jo kisi din
teri hina-rang ungliyon se
meri tamanna ka garm dhaga lapeT degi
isi december mein
teri jholi se sard-mehri ka
sab switer sameT legi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.