december ki raat
āhanī daraḳhtoñ se sar paTaktī huī
vo ek raat
siyah shabdoñ se Tapaktī huī
doshīzgī ke ehsās se be-niyāz
kaale ḳhuun meñ nahā.ī
kuñvārī beva kī mānind
pīkdān ke jhaag meñ lat-pat paḌī rahī
jis ke nahīf ghuTnoñ se chipke
shikasta sāñsoñ ke chhoTe chhoTe TukḌe
talḳh udāsiyoñ ke mel kī darāḌoñ par kunda
safar kī uljhanoñ ke piile sitam
cigarette ke phailte dhueñ meñ lipTe
barahna ḳhvāb ke reshmīñ badan par bikhrī
tamām tar sangīniyāñ sameTne ke ba.ad
algos aur odine se sharāb māñgte to
tishnagī ke gahre sarāb chhalakte
vo tishnagī
raat ke surḳh lothḌoñ meñ
kis tamāzat se hañsī
vo ek raat
daraḳhtoñ se sar paTaktī huī
aahani daraKHton se sar paTakti hui
wo ek raat
siyah shabdon se Tapakti hui
doshizgi ke ehsas se be-niyaz
kale KHun mein nahai
kunwari bewa ki manind
pikdan ke jhag mein lat-pat paDi rahi
jis ke nahif ghuTnon se chipke
shikasta sanson ke chhoTe chhoTe TukDe
talKH udasiyon ke mel ki daraDon par kunda
safar ki uljhanon ke pile sitam
cigarette ke phailte dhuen mein lipTe
barahna KHwab ke reshmin badan par bikhri
tamam tar sanginiyan sameTne ke baad
algos aur odine se sharab mangte to
tishnagi ke gahre sarab chhalakte
wo tishnagi
raat ke surKH lothDon mein
kis tamazat se hansi
wo ek raat
daraKHton se sar paTakti hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.