december
tāq-e-dil pe tirī yādoñ ko sajā rakhā hai
is tabarruk kī zarūrat mujhe jab paḌtī hai
apnī āñkhoñ se lagātī huuñ inheñ chūmtī huuñ
aur phir taaq pe dobāra sajā detī huuñ
ahd-e-furqat meñ shab-o-roz guzar jaate haiñ
terī yādeñ haiñ kabhī phuul kī sūrat dil meñ
aur kabhī motiyoñ kī tarah se aañsū ban kar
chashm-e-ehsās se dāman pe bikhar jaatī haiñ
maiñ unheñ saiñt ke rakhtī huuñ guzāre ke liye
terī yādoñ ko magar saiñt ke kab tak rakhūñ
barf lamhoñ meñ ye hāthoñ se phisal jaatī haiñ
us se kahnā ki december bhī chalā aayā hai
sard mausam mire ehsās ko garmātā hai
dil-e-vahshī to dhaḌaktā hī chalā jaatā hai
ruk na jaa.e kahīñ tajdīd-e-tamannā kī ghaḌī
maḳhmalīñ shauq kī chādar hai mire sar pe paḌī
us se kahnā ki december na guzar jaa.e kahīñ
aur taqvīm-e-mohabbat na bikhar jaa.e kahīñ
taq-e-dil pe teri yaadon ko saja rakha hai
is tabarruk ki zarurat mujhe jab paDti hai
apni aankhon se lagati hun inhen chumti hun
aur phir taq pe dobara saja deti hun
ahd-e-furqat mein shab-o-roz guzar jate hain
teri yaaden hain kabhi phul ki surat dil mein
aur kabhi motiyon ki tarah se aansu ban kar
chashm-e-ehsas se daman pe bikhar jati hain
main unhen saint ke rakhti hun guzare ke liye
teri yaadon ko magar saint ke kab tak rakhun
barf lamhon mein ye hathon se phisal jati hain
us se kahna ki december bhi chala aaya hai
sard mausam mere ehsas ko garmata hai
dil-e-wahshi to dhaDakta hi chala jata hai
ruk na jae kahin tajdid-e-tamanna ki ghaDi
maKHmalin shauq ki chadar hai mere sar pe paDi
us se kahna ki december na guzar jae kahin
aur taqwim-e-mohabbat na bikhar jae kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.