deep-freeze
pichhlī kitnī rātoñ se maiñ ḳhvāb yahī ek dekh rahā huuñ
haath ye mere haath nahīñ haiñ paañv ye mere paañv nahīñ haiñ
in ke sahāre maiñ chaltā huuñ
saḌkoñ par āvārgī kar ke
jhūTī sachchī bāteñ aḳhbāroñ meñ likh kar
raat ga.e jab ghar aatā huuñ
kāñch kī āñkheñ
patthar ke dāñtoñ kā chaukā
bandar kā dil
uzv-e-tanāsul lekin apnā
apne a.azā ik ik kar ke dēp-frēze meñ rakh detā huuñ
biivī kī god meñ chhup kar so jaatā huuñ
pichhli kitni raaton se main KHwab yahi ek dekh raha hun
hath ye mere hath nahin hain panw ye mere panw nahin hain
in ke sahaare main chalta hun
saDkon par aawargi kar ke
jhuTi sachchi baaten aKHbaron mein likh kar
raat gae jab ghar aata hun
kanch ki aankhen
patthar ke danton ka chauka
bandar ka dil
uzw-e-tanasul lekin apna
apne aaza ek ek kar ke deep-freeze mein rakh deta hun
biwi ki god mein chhup kar so jata hun
- Book : shab-khoon(shumara-number-41) (Pg. 19)
- Edition : 1969
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.