dekhti hun jab teri taswir ko
dekhtī huuñ jab tirī tasvīr ko
ḳhud-ba-ḳhud maazī meñ kho jaatī huuñ maiñ
terā bachpan yaad aatā hai mujhe
ai mirī laḳht-e-jigar aksar tujhe
god meñ le kar maiñ kitne pyaar se
gungunātī thī 'ajab andāz se
gāhe-gāhe kheltī thī saath maiñ
ek guḌiyā de ke tere haath meñ
aur phir kāmoñ meñ lag jaatī thī maiñ
chand lamhe baa'd jab aatī thī maiñ
muntazir paatī thī maiñ tujh ko sadā
tū na hotī thī kabhī mujh se ḳhafā
aaj kyoñ aatī nahīñ hai mere paas
bin tire rahtī huuñ maiñ kitnī udaas
dekhti hun jab teri taswir ko
KHud-ba-KHud mazi mein kho jati hun main
tera bachpan yaad aata hai mujhe
ai meri laKHt-e-jigar aksar tujhe
god mein le kar main kitne pyar se
gungunati thi 'ajab andaz se
gahe-gahe khelti thi sath main
ek guDiya de ke tere hath mein
aur phir kaamon mein lag jati thi main
chand lamhe ba'd jab aati thi main
muntazir pati thi main tujh ko sada
tu na hoti thi kabhi mujh se KHafa
aaj kyon aati nahin hai mere pas
bin tere rahti hun main kitni udas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.