der-sawer to ho jati hai
darvāze pe jo āñkheñ haiñ
āñkhoñ meñ jo sapne haiñ
un sapnoñ meñ jo mūrat hai
vo merī hai
darvāze ke bāhar kyā hai
ik rasta hai
jis par merī yādoñ kā shahr basā hai
merā rasta dekhne vaalī un āñkhoñ kā jaal bichhā hai
mujhe patā hai
lekin un āñkhoñ ko kaise maiñ ye baat batā.ūñ
har raste pe itnī bhiiḌ chalnā mushkil ho jaatā hai
āvāzoñ ke is jañgal se bachnā mushkil ho jaatā hai
dukh kā aisā lamha aatā hai hañsnā mushkil ho jaatā hai
jab aise hālāt khaḌe hoñ
qadmoñ meñ zanjīr kī sūrat
raushniyoñ ke saa.e paḌe hoñ
aise meñ dil un āñkhoñ se
ek hī baat kahe jaatā hai
der-saver to ho jaatī hai
darwaze pe jo aankhen hain
aankhon mein jo sapne hain
un sapnon mein jo murat hai
wo meri hai
darwaze ke bahar kya hai
ek rasta hai
jis par meri yaadon ka shahr basa hai
mera rasta dekhne wali un aankhon ka jal bichha hai
mujhe pata hai
lekin un aankhon ko kaise main ye baat bataun
har raste pe itni bhiD chalna mushkil ho jata hai
aawazon ke is jangal se bachna mushkil ho jata hai
dukh ka aisa lamha aata hai hansna mushkil ho jata hai
jab aise haalat khaDe hon
qadmon mein zanjir ki surat
raushniyon ke sae paDe hon
aise mein dil un aankhon se
ek hi baat kahe jata hai
der-sawer to ho jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.