des des mein palne wale pyare pyare bachcho
des des meñ palne vaale pyāre pyāre bachcho
aane vaalā kal hai tumhārā
ab tak to haqdār ne paayā mushkil se insāf
tum mat karnā zulm gavārā
aane vaalā kal hai tumhārā
nagar nagar ko apnī ruuh kī aag se raushan kar do
duniyā kī māyūs nigāheñ ummīdoñ se bhar do
mustaqbil kī raah se chun lo sab añgāre bachcho
desh desh meñ palne vaale pyāre pyāre bachcho
pyāre bachcho tum se hogā ik aisā āġhāz
sīkhegī ye duniyā jis se jiine kā andāz
jitne dukh-sukh haiñ is jag meñ baañT lo saare bachcho
des des meñ palne vaale pyāre pyāre bachcho
aane vaale kal meñ hoge tum is baaġh ke maalī
dekho ab na rahne paa.e ek bhī Tahnī ḳhālī
tum hī ho taqdīr jahāñ ke raushan taare bachcho
des des meñ palne vaale pyāre pyāre bachcho
des des mein palne wale pyare pyare bachcho
aane wala kal hai tumhaara
ab tak to haqdar ne paya mushkil se insaf
tum mat karna zulm gawara
aane wala kal hai tumhaara
nagar nagar ko apni ruh ki aag se raushan kar do
duniya ki mayus nigahen ummidon se bhar do
mustaqbil ki rah se chun lo sab angare bachcho
desh desh mein palne wale pyare pyare bachcho
pyare bachcho tum se hoga ek aisa aaghaz
sikhegi ye duniya jis se jine ka andaz
jitne dukh-sukh hain is jag mein banT lo sare bachcho
des des mein palne wale pyare pyare bachcho
aane wale kal mein hoge tum is bagh ke mali
dekho ab na rahne pae ek bhi Tahni KHali
tum hi ho taqdir jahan ke raushan tare bachcho
des des mein palne wale pyare pyare bachcho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.