dhanak
aaj bādal ḳhuub barsā aur baras kar khul gayā
gulsitāñ kī Daalī Daalī pattā pattā dhul gayā
dekhnā kyā dhul gayā saare kā saarā āsmāñ
uudā uudā niilā niilā pyārā pyārā āsmāñ
haT gayā bādal kā parda mil ga.ī kirnoñ ko raah
saltanat par apnī phir ḳhurshīd ne Daalī nigāh
dhuup meñ hai ghaas par paanī ke qatroñ kī chamak
maat hai is vaqt motī aur hiire kī damak
de rahī hai lutf kyā sarsabz peḌoñ kī qatār
aur harī shāḳhoñ pe hai rangīn phūloñ kī bahār
kyā parinde phir rahe haiñ chahchahāte har taraf
rāgnī barsāt kī ḳhush ho ke gaate har taraf
dekhnā vo kyā achambhā hai are vo dekhnā
āsmāñ par in daraḳhtoñ se pare vo dekhnā
ye koī jaadū hai yā sach-much hai ik rangīñ kamāñ
vaah vā kaisā bhalā lagtā hai ye pyārā samāñ
kis musavvir ne bhare haiñ rang aise ḳhushnumā
is kā har ik rang hai āñkhoñ meñ jaise khub gayā
ik jagah kaise ikaTThe kar diye haiñ saat rang
shoḳh haiñ sātoñ ke sātoñ ik nahīñ hai maat rang
hai ye qudrat kā nazāra aur kyā kahiye ise
bas yahī jī chāhtā hai dekhte rahiye ise
nanhe nanhe jam.a the paanī ke kuchh qatre vahāñ
un pe Daalā aks sūraj ne banā dī ye kamāñ
dekho dekho ab miTī jaatī hai vo pyārī dhanak
dekhte hī dekhte gum ho ga.ī saarī dhanak
phir havā meñ mil ga.ī vo sab kī sab kuchh bhī nahīñ
āñkheñ mal mal kar na dekho aao ab kuchh bhī nahīñ
aaj baadal KHub barsa aur baras kar khul gaya
gulsitan ki Dali Dali patta patta dhul gaya
dekhna kya dhul gaya sare ka sara aasman
uda uda nila nila pyara pyara aasman
haT gaya baadal ka parda mil gai kirnon ko rah
saltanat par apni phir KHurshid ne Dali nigah
dhup mein hai ghas par pani ke qatron ki chamak
mat hai is waqt moti aur hire ki damak
de rahi hai lutf kya sarsabz peDon ki qatar
aur hari shaKHon pe hai rangin phulon ki bahaar
kya parinde phir rahe hain chahchahate har taraf
ragni barsat ki KHush ho ke gate har taraf
dekhna wo kya achambha hai are wo dekhna
aasman par in daraKHton se pare wo dekhna
ye koi jadu hai ya sach-much hai ek rangin kaman
wah wa kaisa bhala lagta hai ye pyara saman
kis musawwir ne bhare hain rang aise KHushnuma
is ka har ek rang hai aankhon mein jaise khub gaya
ek jagah kaise ikaTThe kar diye hain sat rang
shoKH hain saton ke saton ek nahin hai mat rang
hai ye qudrat ka nazara aur kya kahiye ise
bas yahi ji chahta hai dekhte rahiye ise
nanhe nanhe jama the pani ke kuchh qatre wahan
un pe Dala aks suraj ne bana di ye kaman
dekho dekho ab miTi jati hai wo pyari dhanak
dekhte hi dekhte gum ho gai sari dhanak
phir hawa mein mil gai wo sab ki sab kuchh bhi nahin
aankhen mal mal kar na dekho aao ab kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.