dhund ke par
dhund ke pare ik din
raushnī ke haale meñ
vo mujhe nazar aayā
jaise devtā koī
muntazir ho daasī kā
maiñ ne rū-ba-rū ho kar
us se iltijā kī thī
doge raushnī apnī musta.ār lenī hai
har taraf añdherā hai
mezbānī karnī hai
kuchh ḳharāb hāloñ kī
ruuh kī kasāfat kā
dil pe bojh hai jin ke
chand zaḳhm aise haiñ
jo ki bhar na pā.eñge
gar nahīñ mile un ko
raushnī ke ye haale
merī baat sun kar vo
muskurā ke bolā thā
be-niyāz shahzādī
jaan kyuuñ nahīñ letīñ
raushnī kā rauzan to
sirf tum se khultā hai
dhundlātā har manzar
is liye to vāzeh hai
jhilmilātī ye kirneñ
tum se hī to phūTī haiñ
ḳhud ko joḌ lo ḳhud se
raushnī to tum se hai
dhund ke pare ek din
raushni ke haale mein
wo mujhe nazar aaya
jaise dewta koi
muntazir ho dasi ka
main ne ru-ba-ru ho kar
us se iltija ki thi
doge raushni apni mustaar leni hai
har taraf andhera hai
mezbani karni hai
kuchh KHarab haalon ki
ruh ki kasafat ka
dil pe bojh hai jin ke
chand zaKHm aise hain
jo ki bhar na paenge
gar nahin mile un ko
raushni ke ye haale
meri baat sun kar wo
muskura ke bola tha
be-niyaz shahzadi
jaan kyun nahin letin
raushni ka rauzan to
sirf tum se khulta hai
dhundlata har manzar
is liye to wazeh hai
jhilmilati ye kirnen
tum se hi to phuTi hain
KHud ko joD lo KHud se
raushni to tum se hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.