dhund ke rishte hai
dhund ke rishte gahre hote jaate haiñ
āvāz nahīñ jo aa.e
aur kānoñ kī bekār havas par
jalte paanī ke chhīñTe de
soch sako to socho
aur is Dolte pal kī raakh par
apne ulTe sīdhe naam likho
shañkar durgā viddyā vijay sumitrā
jo ab bhī hai vo kabhī na thā
jo kabhī na thā vo ab bhī hai
vo ab bhī hai aur tum us ko pahchānte ho
jab dhund kā jhuuT
tumhāre sar par nāchegā
tum ro.o.ge
kisī ko is ke na hone kā dosh na do
vo kaun thā
apne barsoñ ke bhūle bisre īmān kī lajjā
bhīgī miTTī meñ band kiye
is dukhī zamīn pe haar gayā
pahchānte ho
shāyad
shāyad to phir jaane do
bure bhale to peT kī kaalī tah meñ hote haiñ
aur maTyālī uljhan
aur jism pe kitnī sard lakīreñ
khīñchī jaatī haiñ
koī nahīñ jorū ke
koī nahīñ jorū ke
abhilāshā kab paidā hotī hai
kitnī ghaḌiyāñ roz baḌhātī hai
kitnī ghaḌiyāñ roz ghaTātī hai
kab jāgtī hai kab sotī hai
abhilāshā durgā hai
aur durgā diesel piinā siikh ga.ī hai
us ne dūdhiyā kapḌe aur sunahre gahne
utaar diye haiñ
khilaune ab bhī mil jaate haiñ
par dhartī anaaj se ḳhālī hai
aur jeb meñ ḳhaak bharī hai
ḳhaak chhupā kar chalnā mushkil hai
jab saḌkeñ jaatī hoñ
jab dhuup aur kuuḌe ke dhabbe
raftār ghulāvaT chhoTe baḌe ajdād
samay ke uḌte zarroñ kā
be-zamīr bhī jaag uThe
to jeb kī tah meñ
ḳhaak chhupā ke chalnā mushkil hai
shor hī shor aur gūñge paañv
taaza aḳhbār ke TukḌe duniyā
darvāze band karo
nanhe vijay se kah do vo so jaa.e
duurī sirf sisaktī duurī hai
vo kabhī nahīñ bhulā.egī
darvāza band karo aur chup ho jaao
dhund ke rishte gahre hote jaate haiñ
dhund ke rishte gahre hote jate hain
aawaz nahin jo aae
aur kanon ki bekar hawas par
jalte pani ke chhinTe de
soch sako to socho
aur is Dolte pal ki rakh par
apne ulTe sidhe nam likho
shankar durga widdya wijay sumitra
jo ab bhi hai wo kabhi na tha
jo kabhi na tha wo ab bhi hai
wo ab bhi hai aur tum us ko pahchante ho
jab dhund ka jhuT
tumhaare sar par nachega
tum rooge
kisi ko is ke na hone ka dosh na do
wo kaun tha
apne barson ke bhule bisre iman ki lajja
bhigi miTTi mein band kiye
is dukhi zamin pe haar gaya
pahchante ho
shayad
shayad to phir jaane do
bure bhale to peT ki kali tah mein hote hain
aur maTyali uljhan
aur jism pe kitni sard lakiren
khinchi jati hain
koi nahin joru ke
koi nahin joru ke
abhilasha kab paida hoti hai
kitni ghaDiyan roz baDhati hai
kitni ghaDiyan roz ghaTati hai
kab jagti hai kab soti hai
abhilasha durga hai
aur durga diesel pina sikh gai hai
us ne dudhiya kapDe aur sunahre gahne
utar diye hain
khilaune ab bhi mil jate hain
par dharti anaj se KHali hai
aur jeb mein KHak bhari hai
KHak chhupa kar chalna mushkil hai
jab saDken jati hon
jab dhup aur kuDe ke dhabbe
raftar ghulawaT chhoTe baDe ajdad
samay ke uDte zarron ka
be-zamir bhi jag uThe
to jeb ki tah mein
KHak chhupa ke chalna mushkil hai
shor hi shor aur gunge panw
taza aKHbar ke TukDe duniya
darwaze band karo
nanhe wijay se kah do wo so jae
duri sirf sisakti duri hai
wo kabhi nahin bhulaegi
darwaza band karo aur chup ho jao
dhund ke rishte gahre hote jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.