dhup
badlī kī ghaTāoñ ko chiir kar
ham tumhāre liye dhuup le kar aa.e haiñ
buzurgoñ ne jo biijī thī virāsat kī
ham ḳhalish dhuup le kar aa.e haiñ
māyūsiyoñ kī ret meñ dab ga.ī phir
tarāsh kar ham vahī dhuup le kar aa.e haiñ
jo tā-'umr khile halkī piilī gulābī
ham 'ishq kī vo ḳhushnumā dhuup le kar aa.e haiñ
thā vaise añdheroñ kā bandobast magar
ham hausloñ kī dhuup le kar aa.e haiñ
ahl-e-chaman ko jo phir gulistāñ kar de
haañ ham nekī kī vahī dhuup le kar aa.e haiñ
badli ki ghaTaon ko chir kar
hum tumhaare liye dhup le kar aae hain
buzurgon ne jo biji thi wirasat ki
hum KHalish dhup le kar aae hain
mayusiyon ki ret mein dab gai phir
tarash kar hum wahi dhup le kar aae hain
jo ta-'umr khile halki pili gulabi
hum 'ishq ki wo KHushnuma dhup le kar aae hain
tha waise andheron ka bandobast magar
hum hauslon ki dhup le kar aae hain
ahl-e-chaman ko jo phir gulistan kar de
han hum neki ki wahi dhup le kar aae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.